बुधवार, 31 मार्च 2010

131. अब इंतज़ार है / ab intzaar hai

अब इंतज़ार है

*******

क्यों है ये संवादहीनता
या फिर है संवेदनहीनता
पर जज़्बात तो अब भी वही
जाने क्यों मुखरित होते नहीं 

बेवक़्त खींचा आता था मन
बेसबब खिल उठता था पल
हर वक़्त हवाओ में तैरते थे
एहसास जो मन में मचलते थे 

यकीन है लौट आयेंगे शब्द मेरे
बस थोड़े रूठ गये हैं लफ़्ज़ मेरे,
प्रवासी पखेरू की तरह छोड़ गये हैं
मौसम के आने का मुझे अब इंतज़ार है

- जेन्नी शबनम (30. 3. 2010)
___________________________

ab intzaar hai

*******

kyon hai ye samvaadheenta
ya hai ye samvedanheenta
par jazbaat to ab bhi wahi
jaane kyon mukhrit hote nahin.

bewaqt kheencha aata thaa mann
besabab khil uthta tha pal,
har waqt hawaaon mein tairte they
ehsaas jo mann mein machalte they.

yakeen hai laut aayenge shabd mere
bas thode rooth gaye hain lafz mere,
prawaasi pakheru ki tarah chhod gaye hain
mausam ke aane ka mujhe ab intzaar hai.

- Jenny Shabnam (30. 3. 2010)
______________________________